Kheria Mod par hua vishesh karyakram
National Flag Day ke avsar par Agra ke Kheria Mod Selfie Point par vishesh karyakram ka ayojan kiya gaya. Is dauran rashtriya dhwaj ko salami di gayi aur deshbhakti ka sandesh diya gaya.
9 saal se nibhai ja rahi parampara
Samiti ke anusar pichhle lagbhag 9 varshon se yahan har din Tiranga faharaya ja raha hai. Har din ek naye mehmaan ko amantrit karke rashtriya dhwaj ko samman diya jata hai.
Atithiyon ne ki pahal ki sarahna
Karyakram mein shamil atithiyon ne is pahal ko sarahte hue ise desh ke anya hisson mein bhi shuru karne ki baat kahi. Unhone kaha ki is tarah ke ayojan yuvaon mein rashtrabhakti ki bhavna ko majboot karte hain.
Mahilaon ne bhi diya sandesh
Samiti ki mahila sadasyon ne rashtriya dhwaj ke samman ko har nagrik ki zimmedari bataya aur sabhi se Tirange ka samman karne ki appeal ki.






























































































